मुनव्वर राना खुद सूख गया जख्म ने मरहम नहीं देखा
![]() |
Munawwar rana khud sookh gaya zakhm |
खुद सूख गया जख्म ने मरहम नहीं देखा
इस खेत ने बरसात का मौसम नहीं देखा
इस कौम को तलवार से डर ही नहीं लगता
तुमने कभी जंजीर का मातम नहीं देखा
शाखे-दिले-सरसब्ज में फल ही नहीं आये
आँखों ने कभी नींद का मौसम नहीं देखा
हम खानाबदोशो की तरह घर में रहे
कमरे ने हमारे कभी शीशम नहीं देखा
इस्कूल के दिन याद ना आने लगे राना
इस खौफ से हमने कभी अल्बम नहीं देखा
Munawwar Rana Khud Sookh Gaya Zakhm Ne Marham Nahi Dekha
Khud sookh gaya zakhm ne marham nahi dekha
Is khet ne barsaat ka mausam nahi dekha
Is qaum ko talwar se dar hi nahi lagta
Tumne kabhi janzeer ka matam nahi dekha
Shakhe-dil-sarsabj me fal hi nahi aaye
Aankhon ne kabhi nind ka mausam nahi dekha
Ham khanabadosho ki tarah ghar me rahe
Kamre ne hamare kabhi shisham nahi dekha
School ke din yaad na aane lage Rana
Is khauf se hamne kabhi album nahi dekha
No comments:
Post a Comment