मुनव्वर राना धंसती हुयी कब्रों की तरफ देख लिया था
![]() |
munawwar rana bachhon par shayari |
धंसती हुयी कब्रों की तरफ देख लिया था
माँ बाप के चहरो की तरफ देख लिया था
दौलत से मुहब्बत तो नहीं थी मुझे लकिन
बच्चो ने खिलोनो की तरफ देख लिया था
उस दिन से बहुत तेज हवा चलने लगी है
जब मैंने चरागों की तरफ देख लिया था
अब तुमको बलंदी कभी अच्छी ना लगेंगी
क्यों खांकनशीनो की तरफ देख लिया था
तलवार तो क्या मेरी नजर भी नहीं उठी
उस शख्स के बच्चों की तरफ देख लिया था
Munawwar Rana Dhansti Huyi Kabron Ki Taraf Dekh Liya Tha
Dhansti huyi kabron ki taraf dekh liya tha
Maa Baap ke chehron ki taraf dekh liya tha
Daulat se muhabbat to nahi thi mujhe lekin
Bachhon ne khilono ki taraf dekh liya tha
Us din se bahut tej hawa chalne lagi hai
Jab maine charagon ki taraf dekh liya tha
Ab tumko bulandi kabhi achhi na lagengi
Kyu khaanknasheenon ki taraf dekh liya tha
Talwar to kya meri nazar bhi nahi uthi
Us shakhs ke bachhon ki taraf dekh liya tha
No comments:
Post a Comment